Sunday, November 17, 2019

Lahad mein aaqa ki deed hogi

Lahad mein aaqa ki deed hogi
main saj ke ghar se nikal raha hu
mere azizon ye rona kaisa
makaan hi to badal raha hu

baad mein ye sawaal pahle
nakeeron aaqa ka zikr chhedo
milan ki shab hai kafan mein apne
khushi ke maare machal raha hu

kisi ke dar ka faqeer hu main
mohabbaton ka aseer hu main
main besahara nahi hu logon
nabi ke tukdon pe pal raha hu

badi kathhin hai hasan ye raatein
sunaate rahiye nabi ki naatein
sukoon milta hai darde dil ko
main naat sun kar machal raha hu

19 comments:

  1. Lahad Me Aaqa Ki Deed Hogi
    Me saj Ke Ghar Se Nikal Raha Hu
    Mere Azizo Ye Rona Kaisa
    Makan Hi To Badal Raha Hu

    Mere Janaze Pe Rone Waalo
    Fareb me Ho Bagor Dekho
    Mara Nahi Hu Game Nabi Me
    Libas e Hasti Badal Raha Hu

    Wo Baad Hi Ke Sawal kahde
    Nakir Aaqa Ka Zikar Chedo
    Milan Ki Shab He kafan Me Rah Kar
    Khushi Ke Maare Machal Raha Hu

    Kisi Ke Dar Ka faqir Hu Me
    Muhabato Ka Asir Hu Me
    Me Be Sahara Nahi Hu logo
    Nabi Ke Tukdo Pe Pal Raha Hu

    Gunah Ki Gathri He Sar Pe Bhaari
    Huzur Kaise Me Guzru Pul Se
    Bachalo aa kar Shafi e Mahshar
    Ke Pul Se Ab me Guzar Raha Hu

    Bahut Kathin He HASAN Ki Raate
    Sunate Rahiye Nabi Ki Naate
    Sukoon Milta He Dard e Dil Ko
    Me Naat Sun Kar Machal Raha Hu

    ReplyDelete
    Replies
    1. Masha'Allah... Masha'Allah...

      Delete
    2. the naat was amazing this naat make me cry after i read this naat

      Delete
    3. Mashaallah mashaallah subhanallah bht achha naat Sharif h isko sun kar dil ko sukoon milta h

      Delete
    4. Subhanallah Alhamdulillah subhanallah bahot khub

      Delete
  2. Mashaallah mere nabi jaesa koi nahi duniya me😊 proud to be ummati f prophet Muhammad SWT 😊

    ReplyDelete
  3. Mashaallah mere nabi jaesa koi nahi duniya me😊 proud to be ummati f prophet Muhammad SWT 😊

    ReplyDelete
  4. Mashaallah mere nabi jaesa koi nahi duniya me😊 proud to be ummati f prophet Muhammad SWT 😊

    ReplyDelete
  5. Mashaallah mere nabi jaesa koi nahi duniya me😊 proud to be ummati f prophet Muhammad SWT 😊

    ReplyDelete
  6. Hujjatul islam ke kalam ki baat hi alag h
    Masha allah

    ReplyDelete
    Replies
    1. yeh kalaam hujjatul islam ka nahi h ..
      un ke biradar Allama HASAN RAZA KHAN ALAIHIR REHMA KA hai

      Delete
    2. Ye Kalam bradar e Sarkar Alahazrat RadiAllaahu Ta'ala Anhu Sarkar Ustad e zaman Allama Hasan Raza Alyhirrehma ka h

      Delete
  7. Mash Allah
    Sukoon milta hai dard e dil ko
    Mai naat sunkar machal Raha hoon☺

    ReplyDelete
  8. Mashaallah mashaallah mashaallah

    ReplyDelete