Kab talak muntazir hum rahein ya nabi,
Apna jalwa-e-athar dikha dijiye,
Hum faqiron ki ya ahmad-e-mujtaba,
Pyas qalb-o-nazar ki bujha dijiye.
Aap zeenat azal ki hain khairul varaa,
Aap raunak abad ki hain salle a'laa,
Aap khairul bashar wajahe kauno makaan,
Paar beda humara lagaa dijiye.
Arsh wale bhi tere sanaa khaan hai,
Aur makayak tere dar ke darbaan hain,
Tere darbaare aali ki kya shaan hai,
Apne qadamon mein humko bulaa lijiye.
Ranjo aalaam se kardo humko baree,
Khushk hai dil ki kheti ye kardo haree,
Tishnagi, bekali, peed bhi ya nabi,
Rahguzaaron se dil ki hataa dijiye.
Be'amal hum sarapa gunahgaar hain,
Ranjishon mushkilo mein giraftar hain,
Hum karam ke tumhare talabgaar hain,
Aaho giriyaan se humko jilaa dijiye.
Sabse ooncha hai rutbo mein rutba tera,
Chumte hain malayak bhi rauza tera,
Chahtein dil mein hain sar pe suda tera,
Dar pe ISHRAT ko apne bulaa lijiye.
Kab talak muntazir hum rahein ya nabi,
Apna jalwa-e-athar dikha dijiye,
Hum faqiron ki ya ahmad-e-mujtaba,
Pyas qalb-o-nazar ki bujha dijiye.
Apna jalwa-e-athar dikha dijiye,
Hum faqiron ki ya ahmad-e-mujtaba,
Pyas qalb-o-nazar ki bujha dijiye.
Aap zeenat azal ki hain khairul varaa,
Aap raunak abad ki hain salle a'laa,
Aap khairul bashar wajahe kauno makaan,
Paar beda humara lagaa dijiye.
Arsh wale bhi tere sanaa khaan hai,
Aur makayak tere dar ke darbaan hain,
Tere darbaare aali ki kya shaan hai,
Apne qadamon mein humko bulaa lijiye.
Ranjo aalaam se kardo humko baree,
Khushk hai dil ki kheti ye kardo haree,
Tishnagi, bekali, peed bhi ya nabi,
Rahguzaaron se dil ki hataa dijiye.
Be'amal hum sarapa gunahgaar hain,
Ranjishon mushkilo mein giraftar hain,
Hum karam ke tumhare talabgaar hain,
Aaho giriyaan se humko jilaa dijiye.
Sabse ooncha hai rutbo mein rutba tera,
Chumte hain malayak bhi rauza tera,
Chahtein dil mein hain sar pe suda tera,
Dar pe ISHRAT ko apne bulaa lijiye.
Kab talak muntazir hum rahein ya nabi,
Apna jalwa-e-athar dikha dijiye,
Hum faqiron ki ya ahmad-e-mujtaba,
Pyas qalb-o-nazar ki bujha dijiye.