Wednesday, January 16, 2013

Tu sham e risalat



Tu sham e risalat hai aalam tera parwana
Tu mahe Nubuwwat hai ai jalwa e jaanana

Jo saqiye kausar ke chehre se naqab uththe
Har dil bane maikhana har aankh ho paymana

Khaate hai tere Dar ka peete hai tere Dar ka
Paani he Tera paani daana hai Tera daana

Sarshar hamein kar de ek jaame labalab se
Taa hashra rahe saaqi aabad ye maikhana

Dil apna chamak utthe Imaan ki tal at se
Kar aankhein bhi noorani ai jalwa e jaanana

Is dar ki huzoori hi isyan ki dawa thahri
Hai zehre ma aasi ka Taiba hi shifa khaana

Gir par ke yahan pahuncha mer mer ke ise paaya
Choote na Ilahi ab sange dare jaanana

Har phool mein boo Teri har sham a mein zao Teri
Bulbul hai tera bulbul parwaana hai parwaana

Pine Ko Tho Pilunga - Par Sharth Zara See hai...
Ajhmeer Ka Saaqi Ho - Baghdhad Ka MenKhana

Sange dare jaana par karta hoon jabeen saai
Sajda na samaj najdi sar deta hoon nazrana

Duniya mein hame tum ne jab apna banaaya hai
Mehshar mai bhi kah dena yeh hai mera deewana

Bus Itna Karam Karna - Eh Chashme KareemAna
Jab Jaan Laboon Par Ho (Aqa) - Thum Samene A Jana

Aabad ise farma weeran hai dile (Noori)
Jalwe tere bus jaayen aabad ho weerana

Sarkar ke jalwo se roshan he dile Noori
Taa Hashra rahe roshan Noori ka ye kaashanaa

No comments:

Post a Comment