Wednesday, January 16, 2013

Idhar Bhi Nigaahe Karam Ghous-e-Azam


Idhar bhi nigaahay karam Ghous-e-Azam,
Karo door ranj-o-alam Ghous-e-Azam.

Tera hil hai tera haram Ghous-e-Azam,
Arab tera tera Ajam Ghous-e-Azam,

Kahi gir na jaau khudara sambhalo,

Mere dagmagaye kadam Ghous-e-Azam,

Tere hote hum par sitam dhhayein dushman,

Khudara karam kar karam Ghous-e-Azam,

Wo ik war ka bhi na hoga tumhare,

kahan hai mukhalif mein damm Ghous-e-Azam,

Ghira hoon mein har samt se ranj-o-ghum mein,
khudara karam, kar karam, Ghous-e-Azam.

Woh rutba tera hai kay jitnay wali hain,
Sabhi tere zair-e-qadam Ghous-e-Azam.

Hai gardan mein teri ghulami ka patta,
Tujhi se hai mera bharam Ghous-e-Azam.


Bahut chub raha hai khuda ra nikalo
Mere dil se teer ye alaam

Tera hoon mein tera mere is kahe ka,
Sar-e-hashr rakhna bharam Ghous-e-Azam.

Madinay se najdi bala ko nikalo,
Karo un kay sar ko qalam Ghous-e-Azam.

Mera har maraz door ho jaye piyaare
Karo aisa aakar k dam Ghous-e-Azam.

Mere chaand mera muqaddar sanwaaro,
Bohot ho gaye paich-o-ghum Ghous-e-Azam.

Mujhe khwaab mein aa ke jalwa dikha do,
Karo aaj ki shab karam Ghous-e-Azam.

Nazar jab uthaaoon nazar aaye mujh ko,
Madinay ka dilkash haram Ghous-e-Azam.

Ye dil ye jigar hai ye aankhein ye sar hai,
Jahaan chaho rakho qadam Ghous-e-Azam.

Jila paaye ga dil Ubaid-e-Raza ka,
Zara rakh do apna qadam Ghous-e-Azam.

No comments:

Post a Comment