Wednesday, January 16, 2013

Idhar Bhi Nigaahe Karam Ghous-e-Azam


Idhar bhi nigaahay karam Ghous-e-Azam,
Karo door ranj-o-alam Ghous-e-Azam.

Tera hil hai tera haram Ghous-e-Azam,
Arab tera tera Ajam Ghous-e-Azam,

Kahi gir na jaau khudara sambhalo,

Mere dagmagaye kadam Ghous-e-Azam,

Tere hote hum par sitam dhhayein dushman,

Khudara karam kar karam Ghous-e-Azam,

Wo ik war ka bhi na hoga tumhare,

kahan hai mukhalif mein damm Ghous-e-Azam,

Ghira hoon mein har samt se ranj-o-ghum mein,
khudara karam, kar karam, Ghous-e-Azam.

Woh rutba tera hai kay jitnay wali hain,
Sabhi tere zair-e-qadam Ghous-e-Azam.

Hai gardan mein teri ghulami ka patta,
Tujhi se hai mera bharam Ghous-e-Azam.


Bahut chub raha hai khuda ra nikalo
Mere dil se teer ye alaam

Tera hoon mein tera mere is kahe ka,
Sar-e-hashr rakhna bharam Ghous-e-Azam.

Madinay se najdi bala ko nikalo,
Karo un kay sar ko qalam Ghous-e-Azam.

Mera har maraz door ho jaye piyaare
Karo aisa aakar k dam Ghous-e-Azam.

Mere chaand mera muqaddar sanwaaro,
Bohot ho gaye paich-o-ghum Ghous-e-Azam.

Mujhe khwaab mein aa ke jalwa dikha do,
Karo aaj ki shab karam Ghous-e-Azam.

Nazar jab uthaaoon nazar aaye mujh ko,
Madinay ka dilkash haram Ghous-e-Azam.

Ye dil ye jigar hai ye aankhein ye sar hai,
Jahaan chaho rakho qadam Ghous-e-Azam.

Jila paaye ga dil Ubaid-e-Raza ka,
Zara rakh do apna qadam Ghous-e-Azam.

Tu sham e risalat



Tu sham e risalat hai aalam tera parwana
Tu mahe Nubuwwat hai ai jalwa e jaanana

Jo saqiye kausar ke chehre se naqab uththe
Har dil bane maikhana har aankh ho paymana

Khaate hai tere Dar ka peete hai tere Dar ka
Paani he Tera paani daana hai Tera daana

Sarshar hamein kar de ek jaame labalab se
Taa hashra rahe saaqi aabad ye maikhana

Dil apna chamak utthe Imaan ki tal at se
Kar aankhein bhi noorani ai jalwa e jaanana

Is dar ki huzoori hi isyan ki dawa thahri
Hai zehre ma aasi ka Taiba hi shifa khaana

Gir par ke yahan pahuncha mer mer ke ise paaya
Choote na Ilahi ab sange dare jaanana

Har phool mein boo Teri har sham a mein zao Teri
Bulbul hai tera bulbul parwaana hai parwaana

Pine Ko Tho Pilunga - Par Sharth Zara See hai...
Ajhmeer Ka Saaqi Ho - Baghdhad Ka MenKhana

Sange dare jaana par karta hoon jabeen saai
Sajda na samaj najdi sar deta hoon nazrana

Duniya mein hame tum ne jab apna banaaya hai
Mehshar mai bhi kah dena yeh hai mera deewana

Bus Itna Karam Karna - Eh Chashme KareemAna
Jab Jaan Laboon Par Ho (Aqa) - Thum Samene A Jana

Aabad ise farma weeran hai dile (Noori)
Jalwe tere bus jaayen aabad ho weerana

Sarkar ke jalwo se roshan he dile Noori
Taa Hashra rahe roshan Noori ka ye kaashanaa

Tuesday, January 15, 2013

Tu Shamme Risaalat hai

Khate hai tere dar ka, peetai hai tere dar ka
Khate hai tere dar ka, peetai hai tere dar ka
Paani hai tera paani, daana hai tera daana

Chorus
Tu Shamme Risaalat hai, aalam tera parwana, parwana
Tu mahe nabuuwat hai, ay Jalwa-e-jaanana

Sar shah hame karde, ek jaamai  labaa lab se
Sar shah hame karde, ek jaamai labaa lab se
Ta hashr rahe saaqi, aabad ye maikhana


Jo saqiye kausar ke chehre se naqab uththe
Har dil bane maikhana har aankh ho paymana




Dil apna chamak utthe, Iman ki tal at se
Dil apna chamak utthe, Iman ki tal at se
Kar aanken bhi Noorani, Noorani
Ay Jalwa e jaanana

Chorus

Har phul mai bu teri, har shamma mai zau teri aaqa
Har phul mai bu teri, har shamma mai zau teri 
Bulbul hai tera bulbul, parwana hai parwana

Chorus

Tum aayi chati bazi, ronak huwi phir tazi
Tum aayi chati bazi, ronak huwi phir tazi
Kaaba huwa phir kaaba, Kardala ta but khana

Chorus

Is dar ki huzuri hi, isiaa ki dawa tehri 
Is dar ki huzuri hi, isiaa ki dawa tehri 
Hai zehr ma’asi ka, Taiba hi shifa khana

Chorus

Ghir par ke yahan pohchan, mar mar ke isai paaya
Ghir par ke yahan pohchan, mar mar ke isai paaya
Chhutai na illahi abh, sange dare jaanana

Chorus

Sange dare jaana par, karta hu jabi saai
Sange dare jaana par, karta hu jabi saai
Sajda na samaj najdi, oh najdi
Sar de ta hu nazrana


Bus Itna Karam Karna - Eh Chashme KareemAna
Jab Jaan Laboon Par Ho (Aqa) - Thum Samene A Jana


Duniya Men Mujhe Apna ... - Thum Ne tho Banaya hai...
Mahshar Men Bhi Kehdena (Aqa) - Yeh Hai Mera Deewana


Pine Ko Tho Pilunga - Par Sharth Zara See hai...
Ajhmeer Ka Saaqi Ho - Baghdhad Ka MenKhana


Sarkar ke jalwon se, roshan hai dille noori
Sarkar ke jalwon se, roshan hai dille noori
Taa hashr rahe roshan, roshan noori ka yai kaashana


ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU

Qalb Ko Uski Rooyat Ki Hain Aarzu
Jiska Jalwa Hain Aalam Me Har Chaar Su
Balki Khud NAfs Me Hain Wo Subhanuhu
Asrh Par Hai Magar Arsh Ko Justuju


ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU


Arsh Farsh Wa Zamaan Wa Jehat Ay Khuda
Jis Taraf Dekhta Hu Hai Jalwa Tera
Zarre Zarre Ki Aankhon Me Tu Hi Ziya
Qatre Qatre Ki Tu Hi To Hain Aabaru


ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU


Tu Kisi Jaa Nahi Aur Har Jaa Hai Tu
Tu Munazza Makaa Se Mubarrah Jasu
Ilm Wa Qudrat Se Har Ja Hai Tu Ku-ba-ku
Tere Jalwe Hai Har Har Jagah Ay Afu


ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU


Tayerane Janaa Me Teri Guftugu
Geet Tere Hi Gaate Hain Wo Khush Gulu
Koi Kehta Hai Haq Koi Kehta Hai Hu
Aur Sab Kehte Hain La Sharikala Hu


ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU


Raham Farma Khudaya Haram Paak Ho
Tune Taqdees Bakshi Hai Jis Khaaq Ko
Daf'a FarmaWahaa Par Hai Be Baak Ju
Aur Gira Bijliyan Kahar Ki Bar Adu


ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU


Khwabe Noori Me Aaye Jo Noore Khuda
Bukkae Noor Ho Apna Zulmat Qada
Jagmaga Uththe Dil Chehra Ho Pur  Ziya
Nooriyo Ki Tarah Shagl Ho Zikre Hu


ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU